Friday 9 June 2017

Yeh raah mein hum chale hain ।। zindagi ki raah mein songs and status


Yeh raah mein hum chale hain ।। zindagi ki raah mein  songs and status
Yeh raah mein hum chale hain ।। zindagi ki raah mein  songs and status


Yeh raah mein jo hum chale hain,
es raah mein tum nahi ho 

yeh manzil jo humne chunni hain,
es manzil mein bhi nahi ho
ek aas ka diya hain seene mein,
ki kaash,tum har modh pe khadi ho.

yeh dil nahi hain maanta,
yeh dil nahi hain maangta
bas chahta hain saath tumhara,
do pal nahi, yeh saath har janam ka.

yeh baat hain kuch ese,
yeh baat hain lekin purani 
ki dil mein tum basi ho,
ki humari duniya hi ab tumhi ho 

jo saath tumhara chordha, 
jo khayal tumhara chorda
humari duniya bikhar jayegi
ki hum fanna ho jayege.

yeh raah mein jo hum chale hain,
es raah mein tum nahi ho.

No comments:

Post a Comment