Showing posts with label Romantic Indian Love Songs Lyrics in Hindi. Show all posts
Showing posts with label Romantic Indian Love Songs Lyrics in Hindi. Show all posts

Monday, 26 June 2017

Tu aur thehar jaa । love poems for her। short love। poems poetry sad


Tu aur thehar jaa । love poems for her। short love।poems poetry sad
Tu aur thehar jaa । love poems for her। short love।poems poetry sad

Bas do pal ki thi yeh daastan
ek khwaish ka ujala sa
ki ek pal toh aur thahar jaa
ki ek pal toh aur thum jaa

maana ki yeh guftagu do aankhon ki
maana ki yeh daastan kuch mulakaton ki
tu meri aankhon mein thoda aur basja
ki tu thodi der aur sambhal jaa

ki tu ek pal toh aur thahar jaa
ki tu ek pal toh aur thum jaa

Thursday, 22 June 2017

Jo naa kaha।। tune jo na kaha। best beautiful love songs lyrics in hindi

Jo naa kaha।। tune jo na kaha। best beautiful love songs lyrics in hindi
Jo naa kaha।। tune jo na kaha। best beautiful love songs lyrics in hindi
Lafzon ne jo naa kaha 
woh apki aankhon ne kehdiya
kai raaz bewafai ke khol kar rakh diya...

ab naa pehli si baatein hain
yeh faasle sab batlate hain
aaj bhi yaad kar un lamhon ko
yeh labh muskura se jaate hain

toh kya hua aaj nahi hum us jahaan mein
toh kya hua aaj waqt humse aagey chal aya
par aaj bhi apke khayalon mein doob kar
hum shayar hojate hain

 kahani ka har pannah 
hum likhte jaa rahe hain
jee haan aaj sabko batlatein
nazar arahe hain

toh kya hua sab badal gaya
toh kya hua tere hokar tera naa raha
aankhon ke ashq sirf pyar ki daastan sunate hain
hum aaj tumhe apni rahoon se humesha ke liye mitta te hain

Wednesday, 21 June 2017

kuch es tarah ।। kuch is tarah। download beautiful love songs lyrics in hindi


kuch es tarahkuch es tarah ।। kuch is tarah। download beautiful love songs lyrics in hindi
kuch es tarah ।। kuch is tarah। download beautiful love songs lyrics in hindi 

Kuch es tarah unki aankhein

humari aankhon se takrayi
mehfil thi bhari,par kuch keh bhi naa payi
unke lafzo se zada hume unki aankhon ne kehdia
raaz kai khol kar humpar unhone sab bayaan kardiya

chaha bhi churana khud ko 
par ankheen unpar hi bas ayi
kehna tha bohot kuch par
naa jaane yun aankhen bhar ayi
phir unki muskurahat ne 
dil ko thandak pohchayi

ye khel tha do aankhon ke milan ka
ye baat sabko samjh mein ayi
woh parde mein tha
aur hum pyar mein
sirf do pal ki ghadhi mein
sukoon ki barkat ho ayi

yeh daastan hain jawani ki 
do dilo ki kahani ki 
mehfil hain saji hui 
phir kyu ye aankhen tum par thahar ayi
yun bechani si hum par chahi 

ki haan woh tumhi ho
ab lagta hain humare lafzo ko ek surat mil ayi 

Monday, 19 June 2017

Ae dil humnava।। aye humnawa mujhe apna bana।। loving best songs download


Ae dil humnava
Ae dil humnava

Ae dil humnava ko
ek tere pyar ki talash hain
es dard bhari duniya mein 
ek tere sahare ki aas hain

din guzarte hain khud ko chupate hue
aur raatein kaat ti hain teri yaad mein
ek roz jo hatho se hath chuta 
ek roz jo daman se sahara chutta

toh yeh zindagi ki bewafai hogi
ki yeh bin mausam ki barsaat hogi
sab kuch mila ek tujhe 
bhool jane ki mohlat na mili
ek tujhe yaad rakhne ki wajah bhi naa mili 
bas chal rahi hain yeh daastan meri

ae dil humnava 
ko ek tere pyar ki talash hain

Sirf tumhari kami hain।। teri kami hai।।heart touching lines romantic songs


Sirf tumhari kami hain।। teri kami hai  heart touching lines romantic songs
Sirf tumhari kami hain।। teri kami hai  heart touching lines romantic songs

Bedard hain zindagi ka mausam
khud ko takleef deke,humne tumko khushi de hain


needein kho kar humne aapse dillagi ki hain
aankhein bandh kar humne aapse mohobbat ki hain
apni hasi chupa kar humne apse wafai ki hain

kasam hain us chand ki
kasam hain us dhalte suraj ki 
kasam hain us chamakte taaro ki 
humne sirf tumse ye gustakhi ki hain

bedard sa hain ab yeh mausam zindagi ka
jisme ab sirf tumhari kami hain


Friday, 16 June 2017

Likhte jaa rahe hain ।। latest romantic love song quotes free download

Likhte jaa rahe hain ।। latest romantic love song quotes free download
Likhte jaa rahe hain ।। latest romantic love song quotes free download



Mohobbat woh nahi jisme saath 
har pal hum rahe 
mohobbat toh woh hain 
jisme doori hone par bhi hum 
ek duje mein zinda rahe 

ja udh le aaj pankh utha kar
humne tumhe dil se dua di hain
yeh koi sharat nahi bas
humne apse dillagi ki hain

aaj apne jazbatoon ko shabdo mein 
utar rahe hain
han yeh ek rang hain 
jisme hum khud ko nihaar rahe hain
han yeh apki chahat hain ki 
hum aaj khushi se gunguna rahe hain

haan woh aap hi hain
jiske liye hum likhte jaa rahe hain

Bawra mann dekhne laga ek sapna ।। bawara mann lyrics song dream love goals



Bawra mann dekhne laga ek sapna ।। bawara mann lyrics song dream love goals
Bawra mann dekhne laga ek sapna ।। bawara mann lyrics song dream love goals


Baawra mann dekhne laga ek sapna 
ki har modh par,har raah par hoga saath apna
yeh khel nahi kuch mulakaaton ka 
yeh baat hain kuch pal aur 
saath din aur raaton ka

ki ek din woh pal hoga
ki ek din woh jahaan hoga
jisme hoga saath tumhara 

apni kahani hogi sabse haseen
sabse alag jese noor ae zameen
yeh waqt ka saya dhal jaye naa
yeh chahto ka safar dhul jaye naa
ek tum ho,ek mein ho aur 
ho saath apna 

chal padha ye dil es raah pe 
es raah mein jo tumse dillagi hain 
baawra mann dekhne laga ek sapna
ki har raah par hoga saath apna

Thursday, 15 June 2017

Shayar bana diya ।। romantic dard bhari shayari in hindi।। shayari love



 Shayar bana diya  ।। romantic dard bhari shayari in hindi shayari love
 Shayar bana diya  ।। romantic dard bhari shayari in hindi।। shayari love
Log kehte hain tumhare pyar ne hume 
likhna seekha diya..
tumse es doori ne hume 
shayar bana diya...
par hum yeh kehte hain ki
yeh toh apke pyar ka rang hain,
jisne hume zindagi jeene ka salika seekha diya...

Bheegi barsaat ho chali hain ।। baarish lyrics in hindi baarish song download




Bheegi barsaat ho chali hain ।। baarish lyrics in hindi baarish song download
                                   Bheegi barsaat ho chali hain ।। baarish lyrics in hindi baarish song download

Aaj yeh kaali raat chadhi hain
bheegi barsaat ho chali hain
tum ho mere saath kuch is tarah 
ab koi kami mujhe naa khali hain

baras raha hain aaj aasmaan khul kar
zameen khushboo mehka rahi hain
jese koi meetha geet gun guna rahi hain
jese kisi ki khushi ki daastan suna rahi hain 

chidiya chupkar bethe apni baagiyan mein
phir bhi ye sab dekh rahi hain
aankh mein aasu hain aaj mere
jo mere khushi ko baayan kar rahe hain

ab en hothon ki khushi ki koi seema nahi hain
ki aaj yeh hassien raat chadhi hain
ki aaj yeh kaali raat chadhi hain
ki aaj yeh meethi barsaat chali hain

wajah toh dedo।। neend na aane ki koi toh wajah dedo ।।lyrics download



wajah toh dedo।। neend na aane ki koi toh wajah dedo ।।lyrics download
wajah toh dedo।। neend na aane ki koi toh wajah dedo ।।lyrics download  

En saanson ko jeene ka sahara toh dedo
apni aankhon mein utar jane ka ishaara toh dedo
yeh dillagi ki baat hain 
yeh daastan ae mohobbat hain
hume khud ko tum me shaamil hone ki 
saza toh dedo

nahi hoga yeh ishq zamane ke liye 
hoga yeh fitoor humare jaane walo ke liye
par en ki gustakhiyon ko rokne ki 
koi dawa toh dedo

lakh hoge pyar mein khoye
lakh hoge pyar mein jeeye aur 
lakh hoge pyar mein maree
par bas hume es meethi saza ko
jeene ki wajah toh dedo  

Wednesday, 14 June 2017

Aankhon mein nami phir kyu।। aankhon mein kaisi nami hai song download



Aankhon mein nami phir kyu।।  aankhon mein kaisi nami hai song download
Aankhon mein nami phir kyu।।  aankhon mein kaisi nami hai song download


 Hatho se jo hath jude  
ankhon mein hain nami phir kyu
tum ho yun pass mere
phir kyu hain mujhko koi kami yun
tujhe yaad har pal karta tha yeh dil 
tere aas pass rehta hain ab yeh dil

tum ho ek surror se
jese sangeet  mein koi meethi dhun chale
ese mausam ki baat hain yeh
ki hum hain ab kuch badle se

teri muskaan par ab yeh dil
kuch kar guzarne laga
tujhe pyar ab yeh jaane kyu har pal karne laga
hatho se jo ye hath jude
ankhon mein hain nami phir kyu. 

Monday, 12 June 2017

Hum par noor chadha hain ।। tum jo itna muskura rahe ho lyrics






Hum par noor chadha hain
Hum par noor chadha hain ।। tum jo itna muskura rahe ho lyrics
Muskura rahe hain aj hum kuch is tarah
jese chand pe bhi noor chadha hain

dil hain aaj khush kuch is tarah
jese zameen par pehli barsaat chadhi hain
yeh baat hain kuch ese dillagi ki
jese humare chehre par noor chadha hain

ane ko hain woh humsafar, humnava
ki dil aaj khushi se jhoom utha hain
bas ab intezaar ki ghadi khatam hone ko hain
bas ab pyar ki manzil kareeb khadi hain

esa rang yeh mujhpe chadha hain 
 ki aaj sara jaha khoobsurat sa lag raha hain
wahi hain manzil es dil ki wahi humara aasmaan hain
kehne ko hain bohot kuch bas ab yeh dillagi ka samaa hain

muskura rahe hain aj hum kuch is tarah
jese chand pe bhi noor chadha hain

Friday, 9 June 2017

Badalta safar।।badalti zindagi ka safar shayari songs and status in hindi




Badalta safar।।badalti zindagi ka safar shayari songs and status in hindi
                                      Badalta safar।।badalti zindagi ka safar shayari songs and status in hindi
Ajeeb dillagi ka safar hain,
har modh par hain ek alag daastan
jab hum adat badalte hain,
tum sharte badal dete ho
jab hum tareeka badalte hain,
tum lafz badal dete ho
aur jab hum raah badalte hain,
tum humari duniya hi badal dete ho.

Yeh raah mein hum chale hain ।। zindagi ki raah mein songs and status


Yeh raah mein hum chale hain ।। zindagi ki raah mein  songs and status
Yeh raah mein hum chale hain ।। zindagi ki raah mein  songs and status


Yeh raah mein jo hum chale hain,
es raah mein tum nahi ho 

yeh manzil jo humne chunni hain,
es manzil mein bhi nahi ho
ek aas ka diya hain seene mein,
ki kaash,tum har modh pe khadi ho.

yeh dil nahi hain maanta,
yeh dil nahi hain maangta
bas chahta hain saath tumhara,
do pal nahi, yeh saath har janam ka.

yeh baat hain kuch ese,
yeh baat hain lekin purani 
ki dil mein tum basi ho,
ki humari duniya hi ab tumhi ho 

jo saath tumhara chordha, 
jo khayal tumhara chorda
humari duniya bikhar jayegi
ki hum fanna ho jayege.

yeh raah mein jo hum chale hain,
es raah mein tum nahi ho.

Thursday, 8 June 2017

Zindagi ki pehchaan ।। zindagi lyrics song

Zindagi ki pehchaan
Zindagi ki pehchaan 


Ek waqt yeh bhi hain,
ek waqt woh bhi tha
ek daur yeh bhi hain,
ek daur woh bhi tha
woh kal tha jab tum thae humare zameen aur aasmaan 
aur,
 yeh aaj hain jab hum hai apki zindagi ki pehchaan.

Wednesday, 7 June 2017

Aankhen ek zubaan hain।। teri aankhein romantic shayari

Aankhen ek zubaan hain
Aankhen ek zubaan hain

 Aankhen ek zubaan hain
jo bina kahe bohot kuch keh jati hain
in ankhon ki gustakhiyon se bacho janab
ye maar bhi dete hain 
or mitta bhi dete hain.

Gulzar hain mohobbat ।। loving status in hindi messages

Gulzar hain mohobbat
Gulzar hain mohobbat
 
Gulzar hain mohobbat ye kehte hain sabhi,
par jab ki tabh jana kitne jhakham hain isme,
yun mohobbat toh karli humne,
 jab nibhai toh khud ka wajood hi dho dala
nibhaya hain yeh rishta pyar ka humne pure dil se,
par kya sila ae mohobbat ki khud ko hi kho dala
hum chaltein hain unke ishaaro pe is kadar,
par yeh kesi bewafai hain unki
 jab uhone sab mitta dala.


Tuesday, 6 June 2017

Tum naa ho।। in hindi love status



Tum naa ho
Tum naa ho

Woh lamha hi kya jisme tum naa ho,
woh ehsaas hi kya jisme tumhari khushboo na ho,
aur woh waqt hi kya jisme tumhare hone ka thahrav hi naa ho.

Muskuratein chalein ।। zindagi sad shayari



Muskuratein chalein
Muskuratein chalein
Hum dardo ko muskurahaton se chupa te chale,
woh har sham apne noor se humein lubhate chale,
yeh kafila sirf humari ankhon se unki ankhon tak ka tha,
woh dusro ki chaka chondh mein khud ko uljhate chale,
phir bhi hum apne pyar ko chupate chale.

Monday, 5 June 2017

Kaafila Mohobbat ka ।। zindagi yun hui basar tanha

Kaafila Mohobbat ka
Kaafila Mohobbat ka

Kaafila unse kuch ese mulakaaton ka tha,
kaafila unse kuch jazbaaton ka tha ,
jeese humne samjha mohobbat ae noor 
woh toh unke lia khel kuch din aur raaton ka tha