Tribute to Nirbhaya | women raped | new poetry | sad poetry | hindi |
woh pal pal behti rahi
dard ki cheekho ko
woh har pal sehti rahi
insaan ke roop mein
darinde ghumte hain
cheer cheer mass woh
pal pal chubhte hain
kab sab tham jaye
kab sab ruk jaye
kab es peeda se sab dhull jaye
insaaf ki jawala
har ghar jal rahi
tabh nirbhaya thi...
aaj gudiyaan jhulas rahi
ki ab insaaf hoga
ki ab sab saaf hoga
mombatiyon ki roshni se...
yeh duniya dehal rahi
ki samaan izaat ka nahi
samaan ab yeh haq hain
woh kal bhi jal rahi thi
woh aaj bhi num rahi
mandiro mein poojte hain
rooh ko rondh te hain
insaan ki basti mein
yeh haewaan sabhi hain
aek sang beh chale
aaj yeh pran le chale
ki ab naa phir yeh hoga
ki ab insaaf hi hoga
ki ab sarvanaash hi hoga
ki ab kuch maaf naa hoga
ki ab sab naash hi hoga
insaaf ki jawala hain
mere andar apke andar
ki ab yeh khel samapt hi hoga
ki ab kuch maaf naa hoga.
No comments:
Post a Comment